Tribute to Khuwajha Moeenudin Chishti (Rehmatullah Alaihi)

Kia log hen, kia kam kar gai,/
Hind ke andheron mein ujale kar gai

Kar ke musalman mere aaba ko,/
Hamien be-daam, apna ghulam kar gai

Ajmer taa sindh, hidayat ke diay jala kar,/
Mueenudin (R.A) haq ka paigham aam kar gai

#umerfarooque

A tribute to Khuwajha Moeenudin Ajmeri Rehmatuulah Alahi (written on Data darbar, lahore 25-may-2013, after Maghreb prayer)

Khalish

Mere wajood mein he basi,/
Sadyoon ki taveel udasi

Mere khayal per raha chaya,/
Ik ahsaas ajab, gehra sa

Meri zuban per he aj taak jaari,/
Koi guftugu, be-mehal si

Meri khalwatoon per rahi qabiz,/
Bewajha, ik jalan si

Mere dard ke sare soote,/
Hoeiy mujtama, aik hi sagar mein

Meri chahatoon mein khari rukawat,/
Mutassil meri zaat se he

Meri sanson mein jo hai khalish,/
Kisi jalte chanar ke ba-wasaf he

#umerfarooque

Diwaren itni na uthao. . . . .

Fasley itne na barhao,
Keh simit na saken

Dewar itni na uthao,
ke phalang na saken

Roshni itni na phelao,
Keh haqiqat hi dhundla jai

Jhoot Itna na bolo,
Keh sach dhonde na mile

Taalkhian itni na karo paida,
Keh kuch bhi shiren na rahe

Kuch dar khule rakhna ahle Wattan,
Keh ji chahe tu aa ja saken

Meri arzi sanbhal rakhna dosto
Keh shaid kabhi mera yaqeen aa sake